शुक्रवार, 5 मार्च 2010

Dharmik astha aur badhta ganga pradushan

yeh sach hai ki hamari astha hamari vishal evam vaibhvshali sanskriti ka stambh hai aur iske mul me svardik pujya ganga ka mahatvapurna sthan hai lekin kaphi dukh phuchta hai ganga ki durdsha dekhkar. jis ganga ki kalkal dhara evam vishal swarup hamare garv ka pratik tha vah aaj nale ka rup leti ja rahi hai. ganga ke dono kinaro ke beech ki simtti duria yeh bata rahi hai ki ganga hamse ruth kar ja rahi hai aur ham aphsos matr hi karte rahte hai.